April 21, 2018

smell: Example Sentences with Urdu Meaning & Translation

*Dogs have a very strong sense of smell.
[Kutton ki soonghne ki hiss bohat tayz hoti hai.]

*What is that smell?
[Yeh bu kesi hai?]

*a smell of fresh bread
[tazah roti ki bu]

*The socks smell bad.
[Mozo'n se gandi bu aa rahi hai. /
Mozo'n se bad'bu aa rahi hai.]

*The flowers smell good.
[Phoolon se khush'bu aa rahi hai. /
Phoolon se khushbu aa rahi hai.]

*What are you doing? "I'm smelling the flowers."
[Tum kiya kar rahe ho? "Me phool soongh raha hoon."

*I smelled the meat to see if it was fresh.
[Mene gosht ko soongha yeh dekhne k liye k woh taza hai ya nahi]

*Can you smell something burning?
[Kiya tumhe kuch jalne ki bu aarahi hai?]

Labels: